woh aaye basanti hawa ke jhonkon ki tarah
mehka gaye mere mann ka aangan.......
hath thamkar kuchh kadam saath chale hi the
hasaya-rulaya-sapne dekhen......
chalo anjaane main hi sahi kuchh vade bhi kiye
chupke-chupke kab fisalta gaya
ke caravaan kuch khabar na chala.
ritu ki pukar huyi aur bas laut pade wo kadam.......
unhi ke aashiyane taraf
par zindagi thami kaha hai?
ab bhi barkaraar hai.....aage badte hai yeh kadam
bas yuhi kabhi 'gar hawa chuu kar guzarti hai
ehsaas hota jaata hai..........................................mausam badalte hain!